Tuesday, April 19, 2005

Kabhi kabhi mere dil main khayaal aata hai.....

Kabhi kabhi mere dil main khayaal aata hai.....

Ki zindagi teri zulfon ki narm chhaon main guzarne paati to shaadab ho bhi sakti thi
Yeh ranj-o-gham ki syahi jo dil pe chaayi hai, teri nazar ki shuaaon mein kho bhi saktee thi
Magar yeh ho na sakaa...
Mager yeh ho na saka aur ab ye aalam hai ki tu nahi tera gham teri justajoo bhi nahi..
Guzar rahee ha zindagi ayse ki ise kisi ke sahaare ki arzoo bhi nahi
Na koi raah, na manzil, na roshni ka surag..
Inhee andheron mein reh jaoonga yoonhi kho kar
Main jaanta hoon mere humnafas.. magar yoonhi.. kabhi kabhi mere dil main khayaal aata hai
Kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai...

aur ab ye aalam hai ki tu nahi tera gham teri justajoo bhi nahi.. My favorite line! I love this line because it beautifully contradicts itself.

Enjoy.

No comments: