Main aur meri tanhaii..
Aksar yeh baatein karte hain...
Tum hoti to kaisa hota,
Tum yeh kehti, tum woh kehti,
Tum is baat pe hairaan hoti, tum us baat pe kitnii hansti,
Tum hoti to aisa hota, tum hoti to waisa hota,
Main aur meri tanhai..
Aksar yeh baatein karte hain...
Yeh raat hai ya tumhaari zulfein khuli huyi hain,
Hai chandni ya tumhaari nazaron se meri raatein dhuli huyi hain,
Yeh chand hai ya tumhara kangan,
Sitaare hain ya tumhara aanchal,
Hawa ka jhonka hai ya tumhaare badan ki khushboo,
Yeh Pattiyon ki hai sarsaraahat ki tumne chupke se kucch kaha hai,
Yeh sochtaa hoon main kabse gumsum,
Ke jabki mujhko bhi yeh khabar hai.. ki tum nahii ho,
Kahin nahin ho..
Magar yeh dil hai ki kah raha hai,
Ki tum yahin ho, yahin kahin ho...
Majboor yeh halaat idhar bhi hai udhar bhi,
Tanhai ki ek raat idhar bhi hai udhar bhi,
Kahne ko bahut kuchh hai magar kis se kahein hum,
Kab tak yoonhi khaamosh rahein aur sahein hum,
Dil kahta hai duniya ki har ek rasm utha dein,
Deewaar jo hum dono mein hai aaj gira dein,
Kyoon dil mein sulagte rahein logon ko bata dein,
Haan humko mohabbat hai!
Mohabbat hai, mohabaat.
Ab dil mein yehi baat idhar bhi hai, udhar bhi.
Main aur meri tanhaii..
Aksar yeh baatein karte hain...
No comments:
Post a Comment