Monday, June 13, 2005

Karavan guzar gaya gubaar dekhte rahe.

Sapne jhade phool se, meet chubhe shool se,
Lut gaye singaar sabhi baagh ke bubool se,
Aur hum khade-khade bahaar dekhte rahe,
Karavan guzar gaya gubaar dekhte rahe.

Neend bhi khuli na thi ki haye dhoop dhal gayi,
Paon jab talak uthe ki zindagi fisal gayi,
Pat-pat jhad gaye ke shakh-shakh jal gayi,
Chah to nikal sahi na par umar nikal gayi,
Par umar nikal gayi...
Geet ashq ban gaye, swapna ho dafan gaye,
Saath ke sabhi diye dhuan pahan pahan gaye,
Aur hum jhuke-jhuke, mod par ruke-ruke,
Umr ke chadhao ka utaar dekhte rahe.
Karavan guzar gaya gubaar dekhte rahe.

Kya shabab tha ki phool phool pyaar kar utha,
Kya kamaal tha ki dekh aaina sihar utha,
Is taraf zameen aur aasmaan udhar utha,
Thaam kar jigar utha ki jo mila nazar utha,
Ki jo mila nazar utha...
Ek din magar yahan aisi kuchh hawa chali,
Lut gayi kali-kali ki ghut gayi gali-gali,
Aur hum lute-lute, waqt se pite-pite,
Saanjh ki sharaab ka khumaar dekhte rahe.
Karavan guzar gaya gubaar dekhte rahe.

Haath the mile ki zulf chaand ki sanwaar doon,
Hoth the khule ki har bahaar ko pukaar doon,
Dard tha diya gaya ki har dukhii ko pyaar doon,
Aur saans yoon ki swarg bhoomi par utaar doon,
Bhoomi par utaar doon...
Ho saka na kuchh magar, shaam ho gayi sahar,
Woh uthi lahar ki dhah gaye qile bikhar-bikhar,
Aur hum dare-dare, neer nain mein bhare,
Odh kar kafan pade mazaar dekhte rahe.
Karavan guzar gaya gubaar dekhte rahe.

Maang bhar chalii ke ek jab nayi kiran-kiran,
Dholkein thunak uthi thumak uthe charan-charan,
Shor mach gaya ke lo chali dulhan, chali dulhan,
Gaon sab umad pada bahak uthe nayan-nayan,
Bahak uthe nayan-nayan,
Par tabhi zahar bhari gaaz ek wah giri,
Puch gaya sindoor taar-taar huyi choonari,
Aur hum ajaan se, door ke makaan se,
Paalki liye huye kahaar dekhte rahe.
Karavan guzar gaya gubaar dekhte rahe.

Sapne jhade phool se, meet chubhe shool se,
Lut gaye singaar sabhi baagh ke bubool se,
Aur hum khade-khade bahaar dekhte rahe,
Karavan guzar gaya gubaar dekhte rahe.



- NEERAJ

A BEAUTIFUL SONG.
Singer- Md Rafi
Music Director- Roshan
Movie- Nayi umar ki nayi fasal.

1 comment:

Anonymous said...

do you have this song?? mail me at shukla_veeresh@yahoo.co.in

thanks
-Veeresh